hockey ki dukhbhari kahaani
sunenge aap kiski zubaani
players ki qurbaani, federation ki manmaani
ho rahi hai hockey ke khel ki barbaadi
khel jo ek samay desh kaa maan thaa
olympic ke gold par sabko shaan thaa
gumnaam andheri galiyon main ab kho gaye
national game hai hockey lagta hai log bhool gaye
hockey ab power aur politics kaa khel hai ho gayaa
kursi ki chaahia kockey ke game se upar ho rahaa
kaisi hai yeh zidd, kyo ho rahe log nadaan
kyon rashtriya khel kaa majaak ban rahaa...jaago hindustan
kaale baadal se ghiraa aaj hai chaaya ghanaa andheraa
dartaa hui jaane kab hogaa saweraa
No comments:
Post a Comment